Tuesday, March 31, 2015

Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin, Dil ke khush rakhne ko, 'Ghalib' ye khayaal achcha hai

Humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin,
Dil ke khush rakhne ko, 'Ghalib' ye khayaal achcha hai

Monday, March 30, 2015

Meri Tanhayee ko Mera Shauq na Samjhna Bade Pyar se Diya Hai Yeh Tohfa Kisi ne

Meri Tanhayee ko Mera Shauq na Samjhna
Bade Pyar se Diya Hai Yeh Tohfa Kisi ne

Sunday, March 29, 2015

Chand tasveer-e- buta chand haseeno ke khatoot bad marne ke mere ghar se ye saaman nikla ..


Chand tasveer -e-  buta chand haseeno ke khatoot
 bad marne ke mere ghar se ye saamaan  nikla

Hme to apno ne luta gairo me kaha dam tha Apni kashti vaha dubi jaha pani km tha.

Hme to apno ne luta ,
gairo me kaha dam tha.
Apni kashti vaha dubi,
jaha pani km tha.

Haal Puchti Nahi Duniya Zinda Logo ka Chale Aate Hain Janaze pe Baraat ki Tarah

 Haal Puchti Nahi Duniya Zinda Logo ka
Chale Aate Hain Janaze pe Baraat ki Tarah


Saturday, March 28, 2015

Deewar kya giri mere kachche makan ki Logon ne mere sehan mein rasta bana liya.

Deewar kya giri mere kachche makan ki
Logon ne mere sehan mein rasta bana liya.

Friday, March 27, 2015

Peene Pilane Ki Kya Baat Karte Ho Kabhi Hum Bhi Piya Karte The

Peene Pilane Ki Kya Baat Karte Ho
Kabhi Hum Bhi Piya Karte The 
Jitni Tum Jaam Mein Liye Baithe Ho
Utni Hum Paimaane Mein Chod Diya Karte The

Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be wafaai nay ghalib Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai

Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be-wafaai nay ghalib
Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai ...

Thursday, March 26, 2015

Zindagi uski jis ki maut pe zamanaa afsos kare Ghalib yunn to har shakh aata hai ish duniya mein marne ke liye

Zindagi uski jis ki maut pe zamanaa afsos kare Ghalib,
yunn to har shakh aata hai ish duniya mein marne ke liye...

Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar Khuda maujood hai wahan Par usey pata nahi


Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..

Wednesday, March 25, 2015

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin Kaafir ke dil mein ja Wahan khudaa nahin..


Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..

Tuesday, March 24, 2015

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar


Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..

Monday, March 23, 2015

Hai agar deedar ki talab to nazrein jamaye rakhna Ghalib

Hai agar deedar ki talab to nazrein jamaye rakhna Ghalib..
Kyunki naseeb ho ya naqaab, sarakta zaroor hai..

Saturday, March 21, 2015

Ishq ne Ghalib nikamma kar diya Warna hum bhi aadmi thy kaam kay

Ishq ne 'Ghalib', nikamma kar diya

Warna hum bhi aadmi thy, kaam kay..

Mat poonch key kya haal hai mera tere peeche Tu dekh key kya rang hai tera mere aagay ...

Mat poonch key kya haal hai mera tere peeche,
Tu dekh key kya rang hai tera mere aagay ...

Friday, March 20, 2015

Umar bhar Ghalib yahi Bhool karta Raha, Dhool Chehre pe Thi, aur aina saaf karta raha.

Umar bhar 'Ghalib' yahi Bhool karta Raha, 
Dhool Chehre pe Thi, aur aina saaf karta raha....!

Thursday, March 19, 2015

Na tha kuchh to khudaa tha, kuchh naa hota to khudaa hota,



Na tha kuchh to khudaa tha, kuchh naa hota to khudaa hota,
Dubayaa mujhko honay ne, na hota main toh kya hota ?

Wednesday, March 18, 2015

Hathoon key lakiroon pay matt jaa ae Ghalib Naseeb unkay bhi hotay hain jinkaay haath nahi hotay ...

Hathoon key lakiroon pay matt jaa ae Ghalib,
Naseeb unkay bhi hotay hain jinkaay haath nahi hotay ...

Tuesday, March 17, 2015

Kitnaa khouff hota hai shaam kay andheroon mein, Poonch un parindoo say jin kay gharr nahi hotay

Kitnaa khouff hota hai shaam kay andheroon mein,

Poonch un parindoo say jin kay gharr nahi hotay 

Monday, March 16, 2015

Abhi mashroof hoon kaafi, kabhi fursat mein sochunga, Ke tujhko yaad rakhne mein mai kya kya bhool jaata hoon.

Abhi mashroof hoon kaafi, kabhi fursat mein sochunga,
Ke tujhko yaad rakhne mein mai kya kya bhool jaata hoon.

Sunday, March 15, 2015

Hum ne mohabaton ke nashe mein aa kar usey khuda bana daala, Hosh tab aaya jab usne kaha ke khuda kisi ek ka nahi hota.

Hum ne mohabaton ke nashe mein aa kar usey khuda bana daala,

Hosh tab aaya jab usne kaha ke khuda kisi ek ka nahi hota.




Saturday, March 14, 2015

YEH ISHQ NAHI AASAAN BUS YUN SAMJH LIJIYE AAG KA DARIYA HAI AUR DOOB KE JANA HAI

 YEH ISHQ NAHI AASAAN BUS YUN SAMJH LIJIYE
AAG KA DARIYA HAI AUR DOOB KE JANA HAI

Friday, March 13, 2015

Kaun deta hai zindagi bhar ka saath log toh janaaze mein bhi kandhey badalte rahte hain

Kaun deta hai zindagi bhar ka saath Galib 
 log toh janaaze mein bhi kandhey badalte rahte hain

Thursday, March 12, 2015

Udne de in Parindo ko Aazad Fiza me ‪Galib


Udne de in Parindo ko Aazad Fiza me ‪Galib
Jo tere Apne Honge Wo Laut Aayenge Kisi Roz
Allama Iqbal:
Na Rakh Ummeed-e-Wafa kisi Parindey se ‪Iqbal 
Jab Par Nikal Aate Hain, To Apna Bhi Aashiyana Bhool Jaatey Hai
Galib